Monday, February 25, 2008

Kalyug

Kalyug
Aadat

juda hoke bhi tu mujhmein kahi baaki hai
palkon mein banke aansu tu chali aati hai
juda hoke bhi

waise zinda hu zindagi bin tere main
dard hi dard baaki raha hai seene mein
saans lena bhar hi yaha jeena nahi hain
ab toh aadat si hai mujhko aaise jeene mein
juda hoke bhi tu mujhmein kahi baaki hai
palkon mein banke aansu tu chali aati hai

saath mere hain tu har pal shab ke andhere mein
paas mere hain tu ujale savere savere mein
dil se dhadkan bhula dena aasan nahi hai
ab toh aadat si hai mujhko aaise jeene mein
juda hoke bhi tu mujhmein kahi baaki hai
palkon mein banke aansu tu chali aati hai

ab toh aadat si hai mujhko aaise jeene mein
yeh jo yaadein hai - 2
sabhi kaatein hai - 2
katado inhe - 2
ab toh aadat si hai mujhko



Aadat Part-2

Na jaane kab se umeedein kuch baaki hain
Mujhe phir bhi teri yaad kyon aati hai
Na jaane kab se

Door jitna bhi tum mujhse, paas tere main
Ab to aadat si hai mujhko aise jeene mein
Zindagi se koyi shikwa hi nahi hai
Ab to zinda hoon main is neele aasmaan mein

Chaahat aisi hai yeh teri badti jaaye
Aahat aisi hai yeh teri mujhko sataaye
Yaadein gehri hain itni, dil doob jaaye
Aur aankhon mein yeh gham nam ban jaaye

Ab to aadat si hai mujhko aise jeene mein

Sabhi raatein hain, sabhi baatein hain
Bhoola do unhe, mita do unhe

Ab to aadat si hai mujhko



Chal Bhaag Chalein Purab Ki Aur

chal bhaag chalein puurab ki or
pyaar mera na chori kar lein ye pashchim ke chor re - 2
(chal bhaag chalein) - 2 puurab ki or

(gar ye tera rang salonaa) - 2 aur ye kaale nain na hote
dekh ke tujhako pashchim vaale aaj yuun bechain na hote
raam kare tu ho jaaye gora bhaag jaayein sab chor re
chal bhaag chalein

(baithe chaaron or shikaari) - 2 ruup ka jaal bichha ke
o puurab ke bhole panchhi ud ja pankh phaila ke
(o mere) - 2 puunam ke chanda jhuuth ye chakore re
chal bhaag chalein

(ang dikha kar jarman vaali) - 2 pakade teri bainya
pairis vaali ki kushbu se bachana more sainya
(dekh pyaar ke) - 2 choron ko hi pad na jaayein mor re
chal bhaag chalein



Dheere Dheere Chori Chori

(dheere dheere chori chori jab bhi andhera chaayen
ek tanha sa chaand nikalkar sab roshan kar jaayen
har taraf yaha madhoshiyaan
phir bhi dil mein manzar hain pyaas ka) - 2

kabhi khushi hain kabhi koi gam
kabhi haseen hain aankhein kabhi num
jiyo hus ke yaaron ke jiyo
jeena padta hain har mausam
bekhudi mastiyaan sab yahaan hain
le majaa inka jaanam
har taraf yahaan madhoshiyaa
phir bhi dil mein manzar hain pyaas ka
dheere dheere chori chori jab bhi andhera chaayen
ek tanha sa chaand nikalkar sab roshan kar jaayen
har taraf yaha madhoshiyaan
phir bhi dil mein manzar hain pyaas ka

kabhi laga kash kabhi laga dam
dhunda le apna koi hamdam
kaun kehta hain tanha raho
achha hota nahi tanhapan
pyaas hain jaam hain saakiya hain
le mazaa inka tu jaanam
har taraf yaha madhoshiyaan
phir bhi dil mein manzar hain pyaas ka
dheere dheere chori chori jab bhi andhera chaayen
ek tanha sa chaand nikalkar sab roshan kar jaayen
har taraf yaha madhoshiyaa
phir bhi dil mein manzar hain pyaas ka

No comments: