Monday, March 3, 2008

Yaarana

Yarana
Tere Jaisa Yaar Kahan

Tere jaisa yaar kahan
Kahan aisa yaarana
Yaad karegi duniya
Tera mera afsana

Tere jaisa yaar kahan
Kahan aisa yaarana
Yaad karegi duniya
Tera mera afsana

Meri zindagi sawaari
Mujhko gale lagake
Baitha diya falak pe
Mujhe khaat se oothake

Meri zindagi sawaari
Mujhko gale lagake
Baitha diya falak pe
Mujhe khaat se oothake
Yaara teri yaari ko
Maine to khuda mana
Yaad karegi duniya
Tera mera afsana

Mere dil ki yeh dua hai
Kabhi door tu na jaaye
Tere bina ho jeena
Woh din kabhi na aaye

Mere dil ki yeh dua hai
Kabhi door tu na jaaye
Tere bina ho jeena
Woh din kabhi na aaye
Tere sung jeena yahan
Tere sung mar jaana
Yaad karegi duniya
Tera mera afsana

Tere jaisa yaar kahan
Kahan aisa yaarana
Yaad karegi duniya
Tera mera afsana



Bhole O Bhole

bhole o bhole
tu ruutha dil tuuta
(mere yaar ko mana de
vo pyaar phir jaga de) 2

kya hoga phir tera gauri jo ruutha jaaye
shankar tere maathe ka chanda jo tuuta jaaye
dam dam dam damaru na baaje
bam bam bam phir tu na naache
yaar agar na maane
mere yaar ko ...

wo bichada to kasam se phir main na ji sakuunga
mere bhole tere jaise main zahar na pi sakuunga
zism huun main wo jaan hai meri
usako nahi pahachaan hai meri
pyaar mera tu jaane
mere yaar ko ...



Hey Saara Zamana

Hey sara zamana (sara zamana)
Hasinon ka deewana (hasinon ka deewana)
Zamana kahe phir kyon (zamana kahe phir kyon)
Bura hai dil lagana (bura hai dil lagana)

Hey sara zamana (sara zamana)
Hasinon ka deewana (hasinon ka deewana)
Zamana kahe phir kyon (zamana kahe phir kyon)
Bura hai dil lagana (bura hai dil lagana)
Hey sara zamana (hey)

Yeh kaun keh raha hai
Tu aaj pyaar kar le
Jo kabhi bhi kathma na ho
Woh ietbaar kar le

(Yeh kaun keh raha hai
Tu aaj pyaar kar le
Jo kabhi bhi kathma na ho
Woh ietbaar kar le)

Maan le, maan le meri baat (meri baat)
Sara zamana (sara zamana)
Hasinon ka deewana (hasinon ka deewana)
Zamana kahe phir kyon (zamana kahe phir kyon)
Bura hai dil lagana (bura hai dil lagana)
Hey sara zamana

Jab husn hi nahi to
Duniya mein kya kashish hai
Dil, dil wahi hai jisme
Kahin pyaar ki khalish hai

(Jab husn hi nahi to
Duniya mein kya kashish hai
Dil, dil wahi hai jisme
Kahin pyaar ki khalish hai)

Maan le, maan le meri baat (meri baat)
Hey sara zamana (sara zamana)
Hasinon ka deewana (hasinon ka deewana)
Zamana kahe phir kyon (zamana kahe phir kyon)
Bura hai dil lagana (bura hai dil lagana)

Hey sara zamana (sara zamana)
Hasinon ka deewana
Zamana kahe phir kyon (zamana kahe phir kyon)
Bura hai dil lagana
Lal la lala la (lal la lala la)
Lala lala la la (lala lala la la)
(Lala lala la la)
(Lala lala la la)
Sara zamana



Mera Piya Ghar Aaya

laaya baaraat laayaa, ghunghata uthaane aaya
apana banaane aayaa, vo
chanda bhi saath laayaa, taare bhi saath laaya
paagal banaane aayaa, vo

mera piya ghar aayaa, o raamaji - 4
mera piya ghar aaya - 2

meri paayal chhanake chhan chhan
meri bindiya chamake chham chham
mera kangana khanake khan khan
mera nikala jaaye dam dam
deevaani main deevaanii, sharam ko chhod duungi
main ab naachuungi itanaa, ki ghungaru tod duungi
nazar ka vaar hogaa, jigar ke paar hoga
meri aankhon ke aage mera diladaar hoga
mera kangana khanake khan khan
mera nikala jaaye dam dam
mera piya ghar aaya ...

mera dhalta jaaye aanchal
mera bikhra jaaye kaajal
mujhe lagata hai ye pal pal
ho jaaungi main paagal
kabhi ruuthuungi usase, kabhi hogi sharaarat
kabhi koi gussa usakaa, kabhi hogi mohabbat
dhadakata hai dil meraa, na jaane kya karuun main
kuch hone vaala hai jee, na jaane kyuun daruun main
mera dhalata jaaye aanchal, mera bikhara jaaye kaajal

mera piya ghar aaya ...

No comments: