Sunday, March 9, 2008

Zubeida

Zubeida
Dheeme Dheeme

Dheeme Dheeme Gaoon
Dheere Dheere Gaoon
Hole Hole Gaoon
Tere Liye Piya
Gun gun mai gaati jaoon
Chun Chun Payal Chankaoon
Sun Sun Kab Se Dohraoon
Piya Piya….

Gulshan Mehke Mehke
Ye Man Behke Behke
Aur Tan Dehke Dehke
Kyon hai bata piya
Man ki jo haalat hai ye
Tan ki jo rangat hai ye
Teri mohabbat hai ye
Piya piya piya
Gun gun main gaati jaoon….

Zindagi mein tu aaya to
Dhoop Mein mila saaya to
Jaage naseeb mere o…
Anhonee ko tha hona
Dhool ban gayi hai sona
Aake Kareeb tere o…
Pyaar se mujhko tune chhua hai
Roop sunahara tab se hua hai
Kahoon aur kya tujhe mai piya o….

Tere nigahon mein hoon
Teri hi baho mein hoon
Khwabon ki rahon mein hoon
Piya piya piya….
Gun gun main gaati jaoon….

Maine jo khushi paayi hai
Jhoom ke jo rut aayi hai
Badle na rut vo kai o…
Dil ke devta jo lage
Sar jhuka hai jiske aage
Tute na but vo kai o…
Kitni hai meethi kitni suhani
Tune sunai hai jo kahani
Main jo kho gai, nai ho gai o…
Aankhon mein taare chamke
Raaton mein jugnu damke
Mit gaye nishaan gam ke piya piya piya…
Gun gun main gaati jaoon….



Mein Albeli, Ghoomoon Akeli

Rangeeli ho, sajeeli ho - 2
Tu albeli o - 2
Main albeli,
ghoomoon akeli,
koi paheli hoon main
Ho, main albeli,
ghoomoon akeli,
koi paheli hoon main
Pagli hawaaye mujhe jaha bhi le jaaye
In hawaaon ki saheli hoon main

Tu hai rangeeli, ho
Tu hai sajeeli, ho

Hirni hoon ban mein,
kali gulshan mein
Shabnam kabhi hoon main,
kabhi hoon shola
Shyaam aur savere, sau rang mere
Main bhi nahin jaanoon aakhir hoon main kya

Tu albeli,
ghoome akeli,
koi paheli hai tu
Pagli hawaaye tujhe jaha bhi le jaaye
In hawaaon ki saheli hai tu

Tu albeli,
ghoome akeli,
koi paheli,
paheli

Mere hisse mein aayi hain kaisi betaabiya
Mera dil ghabraata hai main chaahe jaaoon jaha
Hmm, mere hisse mein aayi hain kaisi betaabiya
Mera dil ghabraata hai main chaahe jaaoon jaha
Meri bechaini le jaaye mujhko jaane kahan
Main ek pal hoon yahan
Main ek pal hoon yahan, main hoon ek pal vahan

Tu baawali hai
Tu manchali hai
Sapnon ki hai duniya jis mein tu hai pali

Main albeli, ghoomoon akeli, koi paheli hoon main

Tu albeli, o

Main albeli,
ghoomoon akeli,
koi paheli hoon main
Pagli hawaaye mujhe jaha bhi le jaaye
In hawaaon ki saheli hoon main

Tu hai rangeeli, ho
Tu hai sajeeli, ho

Hirni hoon ban mein,
kali gulshan mein
Shabnam kabhi hoon main,
kabhi hoon shola
Shyaam aur savere,
sau rang mere
Main bhi nahin jaanoon aakhir hoon main kya

Oh
Tu albeli, o

Hm, hm, main woh raahi hoon jiski koi manzil nahin
Main woh armaan hoon jiska koi haasil nahin
Main hoon woh mauj ke jiska koi saahil nahin
Mera dil naazuk hai
Mera dil naazuk hai, patthar ka mera dil nahin

Tu anjaani, tu hai deewani
Sheesha leke patthar ki duniya mein hai chali
Tu albeli, ghoome akeli, koi paheli hai tu
Pagli hawaaye tujhe jaha bhi le jaaye
In hawaaon ki saheli hai tu

Main hoon rangeeli, ho
Main hoon sajeeli, ho
Hirni hoon ban mein, kali gulshan mein
Shabnam kabhi hoon main, kabhi hoon shola
Shyaam aur savere, haan, sau rang mere, haan
Main bhi nahin jaanoon aakhir hoon main kya



Maheki Maheki Hai Raahein

Maheki maheki hai raahen
Baheki baheki hai nigaahen, hai naa
Hai re, hai re, hai re, hai re
Ghere hain jo yeh baahen
Paayi hai maine panaahen, hai naa
Hai re, hai re, hai re, hai re

Gaa, tu dil ke taaron pe gaa
Geet aisa koi naya
Jo zindagi mein kabhi ho na pehle sunaa

Palkon pe sapne sajaa
Sapnon mein jadoo jagaa
Tu meri raahon mein chaahat ki shamme jalaa

Maheki maheki hai raahen
Baheki baheki hai nigaahen, hai naa

Hai re, hai re, hai re, hai re

Mere dil ne tohfe yeh tumse paaye
Dhoop ke gham ke tum laaye saaye
Mere dil ne tohfe yeh tumse paaye
Dhoop ke gham ke tum laaye saaye

Meri ab jo bhi khushi hai
Mujhe tumse hi mili hai, suno naa
Tumhi voh chaandni ho jo
Meri nazron mein khili hai

Kahin yeh to nahin hai voh aankhen haseen
Dekhti hai jo mujhko piya
Jo bhi hoon, teri hoon, bas yahi gun hai mera
Jo bhi hoon, teri hoon, bas yahi gun hai mera

Gaa, tu dil ke taaron pe gaa
Geet aisa koi naya
Jo zindagi mein kabhi ho naa pehle sunaa

Palkon pe sapne sajaa
Sapnon mein jadoo jagaa
Tu meri raahon mein chaahat ki shamme jalaa

Dil ki yeh zid hai, dil ka hai kehna
Saath tumhaare isko hai rehna
Ho, dil ki ye zid hai, dil ka hai kehna
Saath tumhaare isko hai rehna

Chalo kahin door hi jaaye
Nayi ek duniya basaaye, suno naa
Vahan bas main aur tum ho
Mohabbat mein hum gum ho

Ab ho uljhan koi, ab ho bandhan koi
Ho nahin sakte hum ab judaa
Yeh tera, yeh mera aakhri hai faislaa
Yeh tera, yeh mera aakhri hai faislaa

Hmm, hmm hmm hmm hmm hmm hmm
Hmm, hmm hmm hmm hmm hmm hmm hmm
Hai re hai re hai re hai re hai
Hai re hai re hai re hai re hai



Chhode More Baiyyan

saiyyaan saiyyaan chhodo more baiyyaan saiyyaan
maano bhi kanhaai hogi jag hansaai
dekho dekho dekh rahin hain saari guiyaan
saiyyaan chhodo saiyyaan chhodo mori baiyyaan saiyyaan
chuudi jo koi tuti maathe se bindiyaa chhuti hai
ghar kya bataaungi main hai mar jaaungi
jaane do mohe kanha, kanha ji more kanha
jaane do mohe kanha

saiyyaan chhodo na more baiyyaan
chhodo more baiyyaan chhodo na more
chhodo more baiyyaan

saiyyaan chhodo na more baiyyaan
saiyyaan chhodo baiyyaan hai baiyyaan



Pyaara Sa Gaon

Hm hm hm hm hm hm hm hm hm hm hm
Hm hm hm hm hm hm hm hm hm hm hm
Ah ha ha aa aa aa aa aa
Door kahin ek aam ki bagiya
Ah ha ha aa aa aa aa aa
Door kahin ek aam ki bagiya
Bagiya mein hai thandi chhaaon
Chhaaon mein ek kachcha rasta
Raste mein pyaara sa gaaon
Gaaon mein ek chhota sa ghar
Ghar mein ek ujla sa aangan
Aangan mein chandan ka palna
Palne mein chanda sa munna
Munne ki aankhon mein nindiya
Door kahin ek aam ki bagiya
Bagiya mein hai thandi chhaaon
Chhaaon mein ek kachcha rasta
Raste mein pyaara sa gaaon
Neele neele aasmaan mein taaron ka hai ek nagar
Jagmag jagmag ek taare par ek shehzaadi ka hai ghar
Chupke chupke raat ko uthke dhyaan se dekhe koi agar
Jhilmil jhilmil hai taarein mein us shehzaadi ke zevar
Shehzaadi ithlaaye, shehzaadi yeh gaaye
Door kahin ek aam ki bagiya
Aadhi raat jab ho jaati hai, jab duniya so jaati hai
Taaron se shehzaadi utarke munne ke ghar aati hai
Meethe meethe saare sapne apne saath voh laati hai
Sote munne ki palkon pe yeh sapne voh sajaati hai
Sirhaane voh aaye, haule se voh gaaye
Door kahin ek aam ki bagiya



So Gaye Hain

So gaye hain, kho gaye hain dil ke afsaane
So gaye hain, kho gaye hain dil ke afsaane
So gaye hain, kho gaye hain dil ke afsaane
So gaye hain, kho gaye hain dil ke afsaane
Koi to aata phir se kabhi inko jagaane
So gaye hain, kho gaye hain dil ke afsaane
So gaye hain, kho gaye hain dil ke afsaane
Saans bhi leti hain jo kathputliyaan
Unki bhi thaame hain koi doriyaan
Aansuon mein bheegi hain khaamoshiyaan
So gaye hain, kho gaye hain dil ke afsaane
So gaye hain, kho gaye hain dil ke afsaane
Dil mein ek parchhaayi hai lehraayi si
Aarzoo meri hai ek angdaayi si
Ek tamanna hai kahin sharmaayi si
So gaye hain, kho gaye hain dil ke afsaane
So gaye hain, kho gaye hain dil ke afsaane

No comments: